

Photo Story (English)
The scene of Chiltan was painted in the colors of evening. The mountains stretched far into the distance under a hazy sky, which had turned into warm, glowing shades at dusk. Waves of red, orange, and pink spread across the sky, as if it was a sea of fire swirling above the peaks of Chiltan. Below, a few yellow flowers sparkled gently, their freshness shining through the cool air, full of life.
This beautiful moment was fleeting, a glimpse of nature that only lasts a short while. The colorful view of Chiltan and the bright flowers make this natural scene in Balochistan even more memorable. This place, with its stunning beauty, becomes a lasting memory, refreshing the colors and charm of Quetta’s scenic landscape.
Photographer’s Reflection (English)
That day, the weather in Quetta was amazing. The clouds had color, and there was a light chill in the air — cool enough to feel refreshing but not too cold. This was the day I’d been waiting for, a chance to capture Chiltan with my camera. When my cousin Jamal and I set out, I felt excited. Chiltan was about 20 kilometers from our home, and the journey was filled with wonderful views and hopeful thoughts.
As we reached Chiltan, I noticed small yellow flowers scattered on the ground, completing the scene I had imagined. The colors around them, stretching across the landscape, stayed with me. It was evening, and the last rays of the sun gave the clouds a fiery glow. That scene, those colors, that evening — it all felt like a dream. As I captured that moment, I felt the beauty deep inside, reminding me of the rare, special glimpses that this world gives us for only a few moments.
Arbab Naimat Kasi
--------
Photo Story (Urdu)
Chiltan ka yeh manzar shaam ki rangon mein rang gaya hai. Door door tak phailay hue pahadon ke peechay ek dhundhala sa asmaan hai, jo aaj shaam ke waqt bhadakte rangon mein dhal chuka hai. Aasmaan par laal, narangi aur surkh rangon ki lahrain hain, jese yeh badal nahin, koi aag ka samandar ho jo Chiltan ke paharon par ghoom raha hai. Neeche zameen par kuch yeh pele phool hain jo halki si chamak mein jagmagaa rahe hain, jaise sard hawa mein bhi inki chamak aur taazgi zindagi se bharpoor hai.
aisi khoobsurat jhalak jo sirf kuch hi lamhon mein guzar jati hai. Chiltan ka yeh rangin manzar aur phoolon ki chamak Balochistan ke iss waheed qudrati manzar ki shanakht ko aur bhi gehra karte hain. Iss sheher aur iski qudrati khubsurati ka rang ek khoobsurat yaad bankar rehta hai, jo Quetta ke rangon aur rangin mausam ki khushbu ko taza kar deti hai.
Photographer’s Reflection (Urdu)
Us din Quetta ka mausam bemisal tha. Badalon mein rang aur hawa mein ek halki thandak thi — woh sardi jo bas aankhon ko thandi lagti hai. Yeh woh din tha jo main intezar kar raha tha; ek khoobsurat lamha jo Chiltan ko mere camera mein qaid kar sakay. Jab main aur mera cousin Jamal nikalay, to dil mein ek umeed thi. Chiltan humare ghar se takreeban 20 kilometers door tha, aur yeh safar shandar nazaron aur umeed se bhara hua tha.
Jese hi hum Chiltan pohanchay, mujhe zameen par yeh chhotay, pele phool nazar aaye jo mere tasveer ko mukammal kar rahe thay. Phoolon ke upar aur unke peechay jo rang thay, wo meri aankhon mein bas gaye. Shaam ka waqt tha, aur sooraj ki aakhri kiranon ne badalon ko ek aag ka jhalak diya hua tha. Woh manzar, woh rang, woh shaam — sab kuch bus ek khawab ki tarah tha. Camera mein woh lamha qaid karte hue, main ne apne andar us khoobsurati ko mehsoos kiya, jo yeh dunya sirf kuch khaas lamhon mein humein ata karti hai.
Arbab Naimat Kasi